Friday, September 14, 2012

Dil aakhir tu kyun rota hai



Jab jab dard ka baadal chhaya,
Jab gham ka saya lehraaya,
Jab aansoo palkon tak aaya,
Jab yeh tanha dil ghabraaya,
Hum ne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai...
Duniya mein yun hi hota hai


Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai...

No comments:

Post a Comment